Jaata Kahan Hai Deewane
C.I.D. (1956)
Lyrics
Jaata kahan hai deewane
Sab kuch yahan hai sanam
Baaki ke saare fasane
Jhoothe hai teri kasam
Fifi kuch tere dil mein
Fifi kuch mere dil mein
Fifi zamana hai bura
Pehlu badalne lage, ghabrake chalne lage
Aankhen mili bhi nahi yoon hi sambhalne lage
Aji suniye huzoor
Jaana humse na door
Aji suniye huzoor
Dekho dil hai kisi ka jalana bura
Jaata kahan hai deewane
Sab kuch yahan hai sanam
Baaki ke saare fasane
Jhoothe hai teri kasam
Fifi kuch tere dil mein
Fifi kuch mere dil mein
Fifi zamana hai bura
Saiyaad hai tu magar mujhko na yoon tanke dekh
Nadaan zara ek baar qaidi mera banke dekh
Maano maano meri baat
Hai yeh pehli mulaqat
Maano maano meri baat
Dekho pehlu se uthke hai jaana bura
Jaata kahan hai deewane
Sab kuch yahan hai sanam
Baaki ke saare fasane
Jhoothe hai teri kasam
Fifi kuch tere dil mein
Fifi kuch mere dil mein
Fifi zamana hai bura
Watch Video