Lyric4U
Intezaar

Paap

Watch Video
Lyrics
Intezaar, intezaar, intezaar, intezaar
Intezaar, intezaar, intezaar, intezaar
Meri subahon ko teri shaamon ka
Meri shaamon ko tere vaadon ka
Meri raaton ko tere khwaabon ka
Meri neendon ko teri baahon ka
Mere jazbon ko teri chahon ka
Behki behki si kuch khataon ka
Khoobsurat se kuch gunaahon ka
Intezaar, intezaar, intezaar, intezaar
Apne dilbar ka, apne humdum ka, apne jaanam ka intezaar
Surkh phoolon se mehka rasta hai
Dil toh mera magar zard patta hai
Paas aankhon ke sabz manzar hai
Dil ka mausam toh phir bhi banjar hai
Mehki mehki si kuch hawaon ka
Bheegi bheegi si kuch ghataon ka
Intezaar, intezaar, intezaar, intezaar
Apne baadal ka, apni baarish ka, apne saawan ka intezaar
Apni dhadkan ka, apni saanson ka, apne jeene ka intezaar
Koi badli kabhi is tarah aayegi
Pyaas sadiyon ki pal mein bujh jayegi
Tujhko lauta ke meri aagosh mein
Dekhna waqt ki nabz tham jayegi
Aisa hone ki kuch duaon ka
Umr bhar joh mile un panahon ka
Intezaar, intezaar, intezaar, intezaar
Tere aane ka, tujhko paane ka, phir na jaane ka intezaar
Tere aane ka, tujhko paane ka, phir na jaane ka intezaar
Intezaar, intezaar, intezaar, intezaar
Watch Video