Inteha Ho Gayi Intezaar Ki
Sharaabi
Lyrics
Inteha ho gayi intezaar ki
Aayi na kuch khabar mere yaar ki
Yeh hum mein hai yakeen, bewafa woh nahin
Phir wajah kya hui intezaar ki
Inteha ho gayi intezaar ki
Aayi na kuch khabar mere yaar ki
Yeh hum mein hai yakeen, bewafa woh nahin
Phir wajah kya hui intezaar ki
Baat joh hai us mein
Baat woh yahaan kahin nahin kisi mein
Woh hai meri, bas hai meri
Shor hai yahi gali gali mein
Saath saath woh hai mere gham mein
Mere dil ki har khushi mein
Zindagi mein woh nahin toh
Kuch nahin hai meri zindagi mein
Bujh na jaaye yeh shama aitbaar ki
Inteha ho gayi intezaar ki
Aayi na kuch khabar mere yaar ki
Yeh hum mein hai yakeen, bewafa woh nahin
Phir wajah kya hui intezaar ki
O mere sajna, lo main aa gayi
O mere sajna, lo main aa gayi
O logon ne toh diye honge bade bade nazrane
Laai hoon main tere liye dil mera
Dil yahi maange dua hum kabhi ho na juda
Mera hai mera hi rahe dil tera
Yeh meri zindagi hai teri
Yeh meri zindagi hai teri
Tu mera sapna, main tujhe pa gayi
O mere sajna, lo main aa gayi
Gham ke andhere dhale
Bujhte sitaare jale
Dekha tujhe toh dilon mein jaan aayi
Honthon pe taraane jage
Armaan deewane jage
Baahon mein aake tu aise sharmayi
Chha gayi phir wohi bekhudi
Chha gayi phir wohi bekhudi
La la la la ... la la la la
La la la la ... la la la la
Woh ghadi kho gayi intezaar ki
Aa gayi rut haseen vasl-e-yaar ki
Yeh nasha yeh khushi, ab na kam ho kabhi
Umar bhar na dhale raat pyar ki
Raat pyar ki, raat pyar ki
Watch Video