India Waale
Happy New Year
Lyrics
Ho maane ya koi maane na
Yahan apni bhi thodi ada thoda andaz hai
Aise hai chahe waise hai
Arre joh bhi hai jaise hai khud pe humein naaz hai
Jaane na humko yeh zamana
Chaho toh humko aazmana
Hum yaar baaz, hum jaal saaz, hum ishq baaz dilwale
Kehte hai humko pyar se India waale
Chhu lete dil ke taar se India waale
Har jeet cheen le haar se India waale
Dushman ke chakke chhuda de hum India waale
Dushman ke chakke chhuda de hum India waale
Yoon toh seedhe bade
Kabhi chahe toh haathon se lete lakeerein chura
O humko parwah nahi
Joh bhi kehta hai kehne de jag yeh bhala ya bura
Jaisi bhi marzi ho hamari
Karte hai aisi hoshyari
Par dil se yaar joh le pukaar toh jaan nisaar kar daale
Kehte hai humko pyar se India waale
Chhu lete dil ke taar se India waale
Har jeet cheen le haar se India waale
Dushman ke chakke chhuda de hum India waale
Ungli pe sabko nacha de hum India waale
Aankhon ki, aankhon ki chaabi se, thoda betaabi se
Chupke se khole dilon ke taale
Jaan dete, usko jahaan dete, apna imaan dete
Jiski bhi baahein gale mein daale
Duniya se humko kya le jaana
Yaaron ke dil mein ho thikana
Humein ek baar hota hai pyar yeh lakh baar kehla le
Kehte hai humko pyar se India waale
Chhu lete dil ke taar se India waale
Har jeet cheen le haar se India waale
Dushman ke chakke chhuda de hum India waale
Dushman ke chakke chhuda de, chhuda de
Ungli pe sabko nacha de, nacha de
Dushman ke chakke chhuda de hum India waale
Watch Video