Lyric4U
Imtihan Imtihan

Himmatwala (1983)

Watch Video
Lyrics
Insaan woh insaan ke joh kaam aata hai
Insaan woh insaan ke joh kaam aata hai
Khud ko khatre mein dalke auron ko bachata hai
Auron ko bachata hai
Imtihan imtihan insaaniyat ka aaj imtihan
Imtihan imtihan insaaniyat ka aaj imtihan
Toote dil ko joh sambhale
Doobte ko joh bachale
Toote dil ko joh sambhale
Doobte ko joh bachale
Kaam aaye auron ke wohi toh hai insaan
Imtihan imtihan insaaniyat ka aaj imtihan
Pani, zehar, har ek lehar ban gayi toofan
Muskurati gaati bastiyan hui veeraan
Aankh mein hai jinki Ganga Jamuna ki dhaare
Apne hi desh wasi hum watan hai hamare
Ashkon ka ek rang, sabka dard ek samaan
Imtihan imtihan insaaniyat ka aaj imtihan
Imtihan imtihan insaaniyat ka aaj imtihan
Ghoonghat dulhan ka khole bina koi so gaya
Maa ko nahi khabar bhanwar mein laal kho gaya
Maa mar chuki hai, bhooka laal phir bhi pukaare
Kamzor budhape ko dega kaun sahare
Gaanv ko shamshan dekh ro diya bhagwan
Imtihan imtihan insaaniyat ka aaj imtihan
Imtihan imtihan insaaniyat ka aaj imtihan
Watch Video