Ik Mulaqaat
Dream Girl (2019)
Lyrics
Main bhi hoon tu bhi hai aamne saamne
Dil ko behka diya ishq ke jaam ne
Main bhi hoon tu bhi hai aamne saamne
Dil ko behka diya ishq ke jaam ne
Musalsal nazar barasti rahi
Taraste hai hum bheege barsaat mein
Ik mulaqaat
Ik mulaqaat mein, baat hi baat mein
Unka yoon muskurana gazab ho gaya
Kal talak woh joh mere khayalon mein the
Rubaru unka aana gazab ho gaya
Mohabbat ki pehli mulaqaat ka
Asar dekho na jaane kab ho gaya
Ik mulaqaat mein, baat hi baat mein
Unka yoon muskurana gazab ho gaya
Makhtabar dard ka kuch khayal nahi hai
Ik taraf main kahin, ik taraf dil kahin
Aankhon ka aitbaar mat karna
Yeh uthe toh qatl-e-aam karti hai
Koi inki nigaahon pe pehra lagao yaaron
Yeh nigaahon se hi khanjar ka kaam karti hai
Makhtabar dard ka kuch khayal nahi hai
Ik taraf main kahin, ik taraf dil kahin
Ehsaas ki zameen pe kyun dhuan uth raha hai
Jal raha dil mera kyun pata kuch nahi
Kyun khayalon mein kuch barf si gir rahi
Ret ki khwahishon mein nami bhar rahi
Musalsal nazar barasti rahi
Taraste hai hum bheege barsaat mein
Ik mulaqaat
Ik mulaqaat mein, baat hi baat mein
Unka yoon muskurana gazab ho gaya
Kal talak woh joh mere khayalon mein the
Rubaru unka aana gazab ho gaya
Mohabbat ki pehli mulaqaat ka
Asar dekho na jaane kab ho gaya
Ik mulaqaat mein, baat hi baat mein
Unka yoon muskurana gazab ho gaya
Watch Video