Ho Mubarak Tujhe
Ghulam-E-Musthafa
Lyrics
Mere mehboob tere chand se chehre ki kasam
Tu kahe toh main teri maang mein afsa bhar doon
Is haseen raat pe jannat ka gumaan hota hai
Apni khushiyan teri khushiyon pe nichawar kar doon
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ab tujhe pyar ka, O ab tujhe pyar ka
Ab tujhe pyar ka aaina mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Yeh raaz ishq kya hai, tujhe kuch pata nahi
Yeh raaz ishq kya hai, tujhe kuch pata nahi
Is dil mein tu hi tu hai, koi doosra nahi
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
(Sargam)
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Phoolon ka tabassum hai, kaliyon si jawani hai
Phoolon ka tabassum hai, kaliyon si jawani hai
Tu meri mohabbat ki pakeezah kahani hai
Tu meri mohabbat ki pakeezah kahani hai
Main ishq ki raahon mein hasti ko mita doonga
Tu mujhpe sitam karle, main tujhko dua doonga
O meri zindagi, mujhko hai yeh khushi
Aaj tujhko tera dilruba mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Yeh teri jawani ... tauba
O roop ki rani ... tauba
Yeh chand sa mukhda ... tauba
Hai noor ka tukda ... tauba
Yeh mast adayein ... tauba
Zulfein hai ghatayein ... tauba
Yeh nargisi aankhen ... tauba
Yeh marmari baahein ... tauba
Yeh gaal gulaabi ... tauba
Yeh chaal sharaabi ... tauba
Lehje mein tarannum ... tauba
Honthon ka tabassum ... tauba
O meri mehzabi, O meri naazni
Kya bataon mujhe aaj kya mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Dhim ta na na ... ta na na dhim ta na na
Dhim ta na na ... ta na na dhim ta na na
Dhim ta na na ... ta na na dhim ta na na
Tamaam umar bhi aasun agar bahayenge
Tamaam umar bhi aasun agar bahayenge
Guzar gaye hai joh lamhe kabhi na aayenge
Guzar gaye hai joh lamhe kabhi na aayenge
Zamana ungliyan tujhpe uthayega kaise
Hum isse pehle tera shehar chhod jayenge
Meri jaan-e-jigar tu mera gham na kar
Kam se kam tujhko toh aasra mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Jaan-e-mann jaan-e-jigar dekhle ek nazar
Jaan-e-mann jaan-e-jigar dekhle ek nazar
O jaan-e-mann jaan-e-jigar dekhle ek nazar
Dekhle ek nazar, ek nazar jaan-e-jigar
Jaan-e-mann jaan-e-jigar dekhle ek nazar
Jaan-e-mann jaan-e-jigar dekhle ek nazar
Meri duniya ke andheron mein ujaale kar de
Zindagi bhar ki tamannao ko pura kar de
Jaan-e-mann jaan-e-jigar dekhle ek nazar
Jaan-e-mann jaan-e-jigar dekhle ek nazar
Dil ki ujhdi hui duniya ko basane ke liye
Zindagi bhar ke liye saath nibhane ke liye
Aur kya chahiye ulfat ke parastano ko
Todh de todh de in rasmon ki deewaron ko
Jaan-e-mann jaan-e-jigar dekhle ek nazar
Jaan-e-mann jaan-e-jigar dekhle ek nazar
Teri har ek khushi ho mubarak tujhe
Ab tujhe hasraton ka khuda mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ab tujhe pyar ka, O ab tujhe pyar ka
Ab tujhe pyar ka aaina mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Ho mubarak tujhe humnava mil gaya
Watch Video