Lyric4U
Har Sawal Ka Jawab

Rang

Watch Video
Lyrics
Har sawal ka jawab nahi mil sakta
Har sawal ka jawab nahi mil sakta
Mere pyar ka hisaab nahi mil sakta
Kaise samjhaun tujhe kitna main chahun tujhe kaise main bata doon tujhe re
Meri hai kasam tujhe itna bata de mujhe kitna tu chahe mujhe re
Har sawal ka jawab nahi mil sakta
Mere pyar ka hisaab nahi mil sakta
Tere liye kitna dhadke yeh dil
Tujhko hai batana mushkil
Seene mein hai kitni dhadkan
Koi bhi na jaane jaaneman
Kitna sayana hai tu kitna deewana hai tu itna bata de mujhe re
Har sawal ka jawab nahi mil sakta
Mere pyar ka hisaab nahi mil sakta
Kyun hota hai pyar bata dilbar
Kaise achanak mil jaati hai nazar
Kya hota hai dard mohabbat ka
Kyun nahi milti dard-e-dil ki dawa
Kaisa nazrana hai yeh kaisa afsana hai yeh itna bata de mujhe re
Har sawal ka jawab nahi mil sakta
Mere pyar ka hisaab nahi mil sakta
Kyun nahi kat'te pyar mein yeh din raat
Kyun na bhoole chahat ki yeh baat
Bechaini kyun pal pal tadpaye haaye
Kyun tu sapno mein aaye jaaye
Tauba kya khumari hai yeh kaisi bekarari hai yeh itna bata de mujhe re
Har sawal ka jawab nahi mil sakta
Mere pyar ka hisaab nahi mil sakta
Kaise samjhaun tujhe kitna main chahun tujhe kaise main bata doon tujhe re
Meri hai kasam tujhe itna bata de mujhe kitna tu chahe mujhe re
Har sawal ka jawab nahi mil sakta
Mere pyar ka hisaab nahi mil sakta
Har sawal ka jawab nahi mil sakta
Mere pyar ka hisaab nahi mil sakta
Watch Video