Har Kisi Ko Nahi Milta
Janbaaz
Lyrics
Har kisi ko nahi milta yahan pyar zindagi mein
Pyar zindagi mein

Khushnaseeb hai woh jinko hai mili yeh bahaar zindagi mein

Honthon se honth mile na bhale
Chahe mile na baahein baahon se
Honthon se honth mile na bhale
Chahe mile na baahein baahon se
Do dil zinda reh sakte hai
Chahat ki bhari nigaahon se
Chahat ki bhari nigaahon se
Har kisi ko nahi milta yahan pyar zindagi mein
Har kisi ko nahi milta yahan pyar zindagi mein
Pyar zindagi mein
Zulfon ke naram andhere hai
Jismon ke garam ujale hai
Zulfon ke naram andhere hai
Jismon ke garam ujale hai
Jeete ji humko pyar mila
Hum dono kismat wale hai

Watch Video