Har Dil Joh Pyar Karega
Sangam
Lyrics
Har dil joh pyar karega woh gaana gayega
Har dil joh pyar karega woh gaana gayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana
Aap hamare dil ko churakar
Aankh churaye jaate hai
Yeh ik tarfa rasam-e-wafa
Hum phir bhi nibhaye jaate hai
Chahat ka dastoor hai lekin
Aapko hi maloom nahi ... o o o
Jis mehfil mein shama ho, parwana jayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana
Har dil joh pyar karega woh gaana gayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana
Bhooli bisri yaadein mere
Haste gaate bachpan ki
Raat beraat chali aati hai
Neend churane nainan ki
Ab keh doongi karte karte
Kitne saavan beet gaye ... o o o
Jaane kab in aankhon ka sharmana jayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana
Har dil joh pyar karega woh gaana gayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana
Apni apni sab ne keh li
Lekin hum chup chaap rahe
Dard paraya jisko pyara
Woh kya apni baat kahe
Khamoshi ka yeh afsana
Reh jayega baad mere ... o o o
Apnake har kisi ko begana jayega
Deewana saikadon mein pehchana jayega
Deewana ... deewana ... deewana ... deewana
Watch Video