Har Dil Jo Pyar Karega (Sad)
Har Dil Jo Pyar Karega
Lyrics
Usse hasna bhi hoga, usse rona bhi hoga
Usse paana bhi hoga, usse khona bhi hoga
Subah shaam tanhaai mein aahein bharega
Har dil jo pyar karega
Har dil jo pyar karega
Leke hasi honthon pe, aankhon mein bharke pani
Sachi mohabbat woh hai jo haske dede qurbani
Usse rukna bhi hoga, usse chalna bhi hoga
Usse bhujna bhi hoga, usse jalna bhi hoga
Peedh parai bhi woh chupke sahega
Pedhon ki har daali pe phool kahan koi khilta hai
Sabko yahan manchaha haaye pyar kahan kab milta hai
Tanhai mein hoga, shehnai mein hoga
Kabhi apno mein hoga, parchai mein hoga
Kaanton ki raahon pe bhi haske chalega
Har dil jo pyar karega
Har dil jo pyar karega
Har dil jo pyar karega
Har dil jo pyar karega
Watch Video