Hai Agar Dushman Zamana
Hum Kisise Kum Naheen
Lyrics
Hai agar dushman
Hai agar dushman, dushman, zamana gham nahi gham nahi
Hai agar dushman, dushman, zamana gham nahi gham nahi
Koi aaye
Koi aaye, koi aaye, koi aaye koi hum kisi se kam nahi kam nahi
Hai agar dushman, dushman, zamana gham nahi gham nahi
Koi aaye koi hum kisi se kam nahi kam nahi
Hai agar dushman, dushman, zamana gham nahi gham nahi
Hai agar dushman, dushman
Kya kare dil ki jalan ko
Is mohabbat ke chalan ko
Joh bhi ho jaaye ke ab toh
Sar se bandha hai kafan ko
Hum toh deewane diljale
Zulm ke saaye mein pale
Daal kar aankhon ko tere rukhsaron pe
Roz hi chalte hai hum toh angaaron pe
Aaj hum jaise jigar wale kahan ... aa ha
Zakhm khaya hai tab huye hai jawan ... aa ha
Teer ban jaye doston ki nazar ... aa ha
Ya bane khanjar dushmano ki zubaan ... aa ha
Baithe hai tere dar pe toh kuch karke uthenge
Ya tujhko hi le jayenge ya marke uthenge
Aaj hum jaise jigar wale kahan
Zakhm khaya hai tab huye hai jawan
Aaj toh duniya
Aaj toh duniya, duniya, nahi ya hum nahi hum nahi
Koi aaye koi hum kisi se kam nahi kam nahi
Hai agar dushman, dushman, zamana gham nahi gham nahi
Hai agar dushman, dushman
Lo zara apni khabar bhi
Ik nazar dekho idhar bhi
Husn waale hi nahi hum
Dil bhi rakhte hai jigar bhi
Jhoom ke rakha joh kadam
Reh gayi zanjeer-e-sitam
Kaise ruk jayenge hum kisi chilman se
Zulfon ko bandha hai yaar ke daaman se
Ishq jab duniya ka nishana bana ... aa ha
Husn bhi ghabra ke deewana bana ... aa ha
Mil gaye rang-e-heena khoon-e-jigar ... aa ha
Tab kahin rangeen yeh fasana bana ... aa ha
Bhes majnu ka liya maine joh laila hokar
Rang laya hai dupatta mera maila hokar
Ishq jab duniya ka nishana bana
Husn bhi ghabra ke deewana bana
Yeh nahi samjho
Yeh nahi samjho, samjho, ke hum mein dum nahi dum nahi
Koi aaye
Koi aaye, koi aaye, koi aaye koi hum kisi se kam nahi kam nahi
Hai agar dushman, dushman, zamana gham nahi gham nahi
Hai agar dushman, dushman
Watch Video