Gori Hai Kalaiyan
Aaj Ka Arjun
Lyrics
Gori hai kalaiyan, tu laade mujhe hari hari chhudiyan
Gori hai kalaiyan, tu laade mujhe hari hari chhudiyan
Apna banale mujhe balama
Gori hai kalaiyan, tu laade mujhe hari hari chhudiyan
Apna banale mujhe balama
Gori hai kalaiyan
Gori ho kalai chahe kaali ho kalai joh bhi chhudi pehnaye phas jaaye
Hari hari chhudiyon ki dekhe haryali tujhe Bhima ki na kheti sukh jaaye
Gori hai kalaiyan, tu laade mujhe hari hari chhudiyan
Apna banale mujhe balama
Gori hai kalaiyan
Banna re bhaaga mein jhula jhuliyan
Aaya re chhail bhanwar ji aaya
Banna re bhaaga mein jhula jhuliyan
Aaya re chhail bhanwar ji aaya
Mera banke tu joh piya saath chalega
Joh bhi dekhega woh haath malega
Mera banke tu joh piya saath chalega
Joh bhi dekhega woh haath malega
Pyar yeh apna jab hadh se badhega
Pyar yeh apna jab hadh se badhega
Hongi toh hongi ruswaiyan
Gori hai kalaiyan
Bhola bhala Bhima bam bhole ka pujari kisi naari se nazar na milaye
Naari badi pyari par dil ki bimaari kaahe rog koi dil ko lagaye
Gori hai kalaiyan, tu laade mujhe hari hari chhudiyan
Apna banale mujhe balama
Gori hai kalaiyan
Maana ke charche honge tere mere pyar ke
Jeet hi lenge tumko hum dil haar ke
Maana ke charche honge tere mere pyar ke
Jeet hi lenge tumko hum dil haar ke
Humko pasand hai, tumko pasand hai
Humko pasand hai, tumko pasand hai
Pyar mein tere dushwariyan
Gori hai kalaiyan
Aate jaate kaate kaahe rasta tu mera yahan kaahe mere gale pad jaaye
Chhudi pehnane wale aur bhi hai chhore yahan Bhima tere jhanse mein na aaye
Gori hai kalaiyan, tu laade mujhe hari hari chhudiyan
Apna banale mujhe balama
Gori hai kalaiyan
Apna banake mujhe chhod na jaana
Pyar bhara dil yeh mera todh na jaana
Apna banake mujhe chhod na jaana
Pyar bhara dil yeh mera todh na jaana
Dil mera qurbaan, meri jaan bhi qurbaan
Dil mera qurbaan, meri jaan bhi qurbaan
Qurbaan tujhpar yeh jawaniyan
Qurbaan tujhpar yeh jawaniyan
Gori hai kalaiyan, main laadun tujhe hari hari chhudiyan
Gori hai kalaiyan, main laadun tujhe hari hari chhudiyan
Apna bana loon tujhe balama
Apna banale mujhe balama
Apna bana loon tujhe balama
Apna banale mujhe balama
Watch Video