Gehra Hua
Dhurandhar
Lyrics
Tu agar meri yeh hawayein teri
Tu agar meri saari raahein teri
Tu agar meri main hoon tera
Tu agar meri yeh ujaale tere
Tu agar meri dil hawale tere
Tu agar meri main hoon tera
Betaab sa mohabbat ka tu inqalaab hai
Mera jahaan teri baahon mein khwaab, khwaab hai
Gehra hua, gehra hua
Rang aashiqui gehra hua
Gehra hua, gehra hua
Dariya dua gehra hua
Tera hua
Tu agar meri yeh hawayein teri
Tu agar meri saari raahein teri
Tu agar meri main hoon tera
Palkein jhapakta hai aasmaan
Lakhon farishton ki hai tu jaan
Woh poochte hai rehti kahan
Meri baahon mein rehti unko bata
Palkein jhapakta hai aasmaan
Usne bhi tujhsa dekha kahan
Hai raunakein wahan tu hai jahan
Meri baahon mein rehna, yehi hai dua
Tu agar meri hai fasana tera
Tu agar meri toh zamana tera
Tu agar meri main hoon tera
Betaab sa mohabbat ka tu inqalaab hai
Mera jahaan teri baahon mein khwaab, khwaab hai
Gehra hua, gehra hua
Rang aashiqui gehra hua
Tera hua
Tu agar meri yeh hawayein teri
Tu agar meri saari raahein teri
Tu agar meri main hoon tera
Teri mohabbat mein jalna bhi hai
Aur tujhse bachke hi chalna bhi hai
Kuch rang apna badalna bhi hai
Maine dhalna tere rang mein hai sada
Tu chaand hai ek dhadakta hua
Chori se mujhko hi takta hua
Seene se lagke chamakta hua
Meri jannat ka rasta tu hi tu hua
Tu agar meri yeh hawayein teri
Tu agar meri saari raahein teri
Tu agar meri main hoon tera
Betaab sa mohabbat ka tu inqalaab hai
Mera jahaan teri baahon mein khwaab, khwaab hai
Gehra hua, gehra hua
Rang aashiqui gehra hua
Gehra hua, gehra hua
Dariya dua gehra hua
Watch Video