Faza Bhi Hai Jawan Jawan
Nikaah
Lyrics
Faza bhi hai jawan jawan
Hawa bhi hai rawan rawan
Suna raha hai yeh samaa suni suni si dastan
Faza bhi hai jawan jawan
Pukarte hai door se woh kaafile bahaar ke
Bikhar gaye hai rang se kisi ke intezar mein
Lehar lehar ke honth par wafa ki hai kahaniyan
Suna raha hai yeh samaa suni suni si dastan
Faza bhi hai jawan jawan
Bujhi magar bujhi nahi na jaane kaisi pyaas hai
Qaraar dil se aaj bhi na door hai na paas hai
Yeh khel dhoop chhaun ka, yeh qurbatein, yeh dooriyan
Suna raha hai yeh samaa suni suni si dastan
Faza bhi hai jawan jawan
Har ek pal ko dhoondhta har ek pal chala gaya
Har ek pal phir aapka har ek pal misaal ka
Har ek pal guzar gaya banake dil pe ik nishaan
Suna raha hai yeh samaa suni suni si dastan
Faza bhi hai jawan jawan
Hawa bhi hai rawan rawan
Suna raha hai yeh samaa suni suni si dastan
Faza bhi hai jawan jawan
Watch Video