Lyric4U
Ek Raja Hai Ek Rani Hai

Ek Rishtaa

Watch Video
Lyrics
Ek raja hai ek rani hai
Pas paisa hai aur jawani hai
Aur kya zindagani hai
O aur kya zindagani hai
Sab naseebon ki yeh kahani hai
Teri chahat ki sab nishani hai
Aur kya zindagani hai
O aur kya zindagani hai
Ghar hai ek mandir, tum mere devta ho
Maine rab se maangi, wohi tum dua ho
Kaun humein duniya mein itna pyar dega
Itni khushi aur aisa sansar dega
Mujhe rehna hai inhi charno mein
Umrr baahon mein yoon bitani hai
Aur kya zindagani hai
O aur kya zindagani hai
Aisi apni dosti hai aisa dostana
Yaad karega humko sara zamana
Dosti pe bilkul na karna bharosa
Dost banke dete hai log yahan dhoka
Dosti hum na kabhi todenge
Aaj humne yeh dil mein thaani hai
Aur kya zindagani hai
O aur kya zindagani hai
Aisi gulshan toh bahaaron mein khila karte hai
Aise maa baap naseebon se mila karte hai
Maine har roz dua maangi hai teri khatir
Mera har khwaab ban gaya hai haqeeqat aakhir
In rishton ko hum nibhayenge
Apni puja bhi aazmani hai
Aur kya zindagani hai
O aur kya zindagani hai
Ek raja hai ek rani hai
Teri chahat ki sab nishani hai
Sab naseebon ki yeh kahani hai
Hai karam uska, meherbaani hai
Aur kya zindagani hai
O aur kya zindagani hai
O aur kya zindagani hai
O aur kya zindagani hai
Watch Video