Ek Nigah Mein
Gundaraj
Lyrics
Aaya dekho na aaya dil ka lootera, bachna zara
Aaya dekho na aaya dil ka lootera, bachna zara
Na jaane ek nigah mein kya le gaya koi
Meri toh zindagi chura le gaya koi

Ab kaise chain aaye bata ae nigah-e-yaar
Ab dil pe ikhtiyar hai na khud pe ikhtiyar
Na lab hile, na seene mein hulchul kahin hui
Dil haar aaye aur khabar bhi nahi hui
Dil haar aaye aur khabar bhi nahi hui
Chupke se humko apna bana le gaya koi
Meri toh zindagi chura le gaya koi
Na jaane ek nigah mein kya le gaya koi
Aaya dekho na aaya dil ka lootera, bachna zara
Yeh bekhudi yeh mast nigahon ki teri chaanv
Rakhte kahin hai paanv toh padte kahin hai paanv
Yeh haal-e-dil hua hai teri aashiqui ke baad
Humko toh ab hamara pata bhi nahi hai yaad
Humko toh ab hamara pata bhi nahi hai yaad
Saanson mein apni humko chupa le gaya koi

Watch Video