Ek Haseena Thi
Karz
Lyrics
Romeo Juliet, Laila Majnu, Shirin aur Farhaad
Inka sacha ishq zamane ko ab tak hai yaad
Yaad, yaad mujhe aaya hai ek aise dilbar ka naam
Jisne dhoka dekar naam-e-ishq kiya badnaam
Yahi hai sahebaan kahani pyar ki
Kisi ne jaan li, kisi ne jaan di
Ek hasina thi, ek deewana tha
Kya umar, kya samaan, kya zamana tha
Ek hasina thi ... hasina thi
Ek deewana tha ... deewana tha
Kya umar, kya samaan, kya zamana tha
Ek din woh mile
Roz milne lage
Ek din woh mile
Roz milne lage
Phir mohabbat hui
Bas qayamat hui
Kho gaye tum kahan
Sunke yeh dastan
Log hairan hai
Kyun ki anjaan hai
Ishq ki woh gali, baat jiski chali
Us gali mein mera aana jaana tha
Ek hasina thi, ek deewana tha
Kya umar thi, kya samaan tha, kya zamana tha
Ek hasina thi, ek deewana tha
Us haseen ne kaha
Us haseen ne kaha
Suno jaan-e-wafa
Yeh falak, yeh zameen
Tere bin kuch nahi
Tujhpe marti hoon main
Pyar karti hoon main
Baat kuch aur thi
Woh nazar chor thi
Uske dil mein chupi chah daulat ki thi
Pyar ka woh fakat ek bahana tha
Ek hasina thi, ek deewana tha
Kya umar thi, kya samaan tha, kya zamana tha
Ek hasina thi, ek deewana tha
La la la ... la la la
La la la ... la la la
Bewafa yaar ne apne mehboob se
Aisa dhoka kiya
Aisa dhoka kiya
Aisa dhoka kiya
Aisa dhoka kiya
Zehar usko diya
Zehar usko diya
Mar gaya woh jawaan
Mar gaya woh jawaan
Ab suno dastan
Janam leke kahin
Phir woh pahuncha wahin
Shakal anjaan thi
Akal hairaan thi
Samna jab hua
Samna jab hua
Phir wohi sab hua
Uspe yeh karz tha
Uska yeh farz tha
Farz ko karz apna chukana tha
La la la ... la la la
La la la ... la la la
Watch Video