Lyric4U
Ek Galti

Race 3

Watch Video
Lyrics
Tera raasta dekhti hai aankhen aur tera hi intezar kare
Agar aa jaaye tu saamne tera hi deedaar kare
Teri aankhon ko meri aankhon ne chupke se sab kuch kehna hai
Tujhko sab apna maankar tere dil mein hi bas rehna hai
Rootha hai dil toota toh nahi
Toota bhi ho jhoota toh nahi
Mere dil ko tujhse pyar hai
Tere dil ko mujhse pyar hai
Haan ho gayi galti mujhse main jaanta hoon
Par ab bhi tujhe main apni jaan maanta hoon
Ek aakhri mauka de mujhe
Aaj bhi main tujhe apni shaan maanta hoon
Jaan maanta hoon ... haaye
Haan galti kardi maine
Par diya pyar bhi kitna maine
Main insaan hoon, na bhagwan hoon
Galti hi ki hai kiya na gunah maine
Jhagda hai pehla isse aakhri na hone doonga
Galti bhi maan li maine aise jaane na doonga
Sach yeh naraazgi hai maine tera dil dukhaya
Par jaan le itna tu bhi tere bin main reh na paaya
Yaadon mein teri aankhen
Aankhon mein teri yaadein
Dhoonde tera chehra din bhar
Phir raat ko teri yaadein
Yeh aankhen pagal ho gayi, inko samjhaun kaise
Kitna hai pyar rani kaise bataun kaise
Kaise ... haan
Mujh mein nahi hoon main tere bina
Tujhse hi hoon main, o meri jaan
Tu mohabbat, tu hai jannat
Teri zaroorat hai yahan
Teri khamoshi hai leti jaan mere haan is dil ki
Saans bhi na le sakun main o jaanejan tere bina
Teri yaadon ko kisi kone mein chupa nahi sakta hoon main
Tere chehre ki woh muskaan ko bhula nahi sakta hoon main
Haan ho gayi galti mujhse main jaanta hoon
Par ab bhi tujhe main apni jaan maanta hoon
Ek aakhri mauka de mujhe
Aaj bhi main tujhe apni shaan maanta hoon
Watch Video