Lyric4U
Duniya Pagal Hai

Shagird

Watch Video
Lyrics
Duniya pagal hai ya phir main deewana
Duniya pagal hai ya phir main deewana
Mujhko chahti hai zulfon mein uljhana
Duniya pagal hai ya phir main deewana
Yeh baahein jinko tum gale ka haar samjhe ho
Gesu ke jinko tum mehakta pyar samjhe ho
Yeh baahein jinko tum gale ka haar samjhe ho
Gesu ke jinko tum mehakta pyar samjhe ho
Haar hai fanda, pyar hai khanjar
Haar hai fanda, pyar hai khanjar, tum ho nishana
Jiyo mere shagird ... thank you
Duniya pagal hai ya phir main deewana
Duniya pagal hai ya phir main deewana
Azaadi hai toh tum ho shehzade mere pyaaro
Shaadi hui toh samjho bhikari ban gaye yaaro
Azaadi hai toh tum ho shehzade mere pyaaro
Shaadi hui toh samjho bhikari ban gaye yaaro
Joh hai akela woh albela
Joh hai akela woh albela, uska zamana
Shabash mere shagird ... thank you
Duniya pagal hai ya phir main deewana
Duniya pagal hai ya phir main deewana
Choodi joh chhanke toh kaho talwaar chhanki hai
Payal baje bhaago ke yeh khatre ki ghanti hai
Choodi joh chhanke toh kaho talwaar chhanki hai
Payal baje bhaago ke yeh khatre ki ghanti hai
Padne na paaye husn ka saaya
Padne na paaye husn ka saaya, dekho bachana
Arre wah wah mere shagird ... thank you
Duniya pagal hai ya phir main deewana
Duniya pagal hai ya phir main deewana
Mujhko chahti hai zulfon mein uljhana
Duniya pagal hai ya phir main deewana
Ya phir main deewana
Watch Video