Duniya Ki Aisi Taisi
Ilzaam
Lyrics
Ae pyar kiya hai pyar karenge
Duniya se ab toh hum na darenge
Duniya ki aisi ki taisi
Arre duniya ki aisi ki taisi
Arre pyar kiya hai pyar karenge
Duniya se ab toh hum na darenge
Duniya ki aisi ki taisi
Arre duniya ki aisi ki taisi
Dil diya, dil liya
Toh bura kya kiya
Hey pyar kiya hai pyar karenge
Duniya se ab toh hum na darenge
Duniya ki aisi ki taisi
Arre duniya ki aisi ki taisi
Chupke gunah toh duniya kare
Pyar ke sar ilzaam lage
Arre chupke gunah toh duniya kare
Pyar ke sar ilzaam lage
Chaal pe chaal zamana chale
Tohamat yaar ke naam lage
Ab toh bharam yeh toot chuka hai
Ab toh bharam yeh toot chuka hai
Duniya yeh duniya hai kaisi
Arre duniya ki aisi ki taisi
Dil diya, dil liya
Toh bura kya kiya
Haan pyar kiya hai pyar karenge
Duniya se ab toh hum na darenge
Duniya ki aisi ki taisi
Arre duniya ki aisi ki taisi
Pyar ka kyun koi mol kare
Pyar toh pyar hai sauda nahi
Pyar ka kyun koi mol kare
Pyar toh pyar hai sauda nahi
Yaar ka pyar khareede yahan
Aisa hua koi paida nahi
Apne lahu ka sauda kare yeh
Apne lahu ka sauda kare yeh
Duniya yeh duniya hai aisi
Arre duniya ki aisi ki taisi
Dil diya, dil liya
Toh bura kya kiya
Hey pyar kiya hai pyar karenge
Duniya se ab toh hum na darenge
Duniya ki aisi ki taisi
Arre duniya ki aisi ki taisi
Pyar pe zulm toh hote rahe
Aaj nahi sadiyon se yahan
Pyar pe zulm toh hote rahe
Aaj nahi sadiyon se yahan
Pyar yeh marke bhi zinda rahe
Pyar mita yeh mita hai kahan
Ae sooli chada de, zinda jala de
Sooli chada de, zinda jala de
Zulmon ki parwah kaisi
Arre duniya ki aisi ki taisi
Dil diya, dil liya
Toh bura kya kiya
Hey pyar kiya hai pyar karenge
Duniya se ab toh hum na darenge
Duniya ki aisi ki taisi
Arre duniya ki aisi ki taisi
Duniya ki aisi ki taisi
Arre duniya ki aisi ki taisi
Watch Video