Lyric4U
Do Naina Aur Ek Kahani

Masoom

Watch Video
Lyrics
Do naina aur ek kahani
Do naina aur ek kahani
Thoda sa baadal, thoda sa pani aur ek kahani
Do naina aur ek kahani
Thoda sa baadal, thoda sa pani aur ek kahani
Do naina aur ek kahani
Choti si do jheelon mein woh behti rehti hai
Choti si do jheelon mein woh behti rehti hai
Koi sune ya na sune kehti rehti hai
Kuch likh ke aur kuch zubaani
O thoda sa baadal, thoda sa pani aur ek kahani
Do naina aur ek kahani
Thodi si hai jaani hui, thodi si nayi
Thodi si hai jaani hui, thodi si nayi
Jahan ruke aansun wahin poori ho gayi
Hai toh nayi phir bhi hai puraani
O thoda sa baadal, thoda sa pani aur ek kahani
Do naina aur ek kahani
Ek khatam ho toh doosri raat aa jaati hai
Ek khatam ho toh doosri raat aa jaati hai
Honthon pe phir bhooli hui baat aa jaati hai
Do naino ki hai yeh kahani
O thoda sa baadal, thoda sa pani aur ek kahani
Do naina aur ek kahani
Watch Video