Lyric4U
Dilruba Maine Tere Pyar Mein

Dil Diya Dard Liya

Watch Video
Lyrics
Umeedein aarzuein khelti hai yoon mere dil se
Palat aati hai maujein jis tarah takrake sahil se
Dilruba maine tere pyar mein kya kya na kiya
Dil diya dard liya
Dil diya dard liya
Kabhi phoolon mein guzari kabhi kaanto mein jiya
Dil diya dard liya
Dil diya dard liya
Zindagi aaj bhi hai bekhudi aaj bhi hai
Pyar kehte hai jise woh khushi aaj bhi hai
Maine din raat mohabbat ka teri jaam piya
Dil diya dard liya
Dil diya dard liya
Dilruba maine tere pyar mein kya kya na kiya
Dil diya dard liya
Dil diya dard liya
Kya kahun tere liye maine aansun bhi piye
Kabhi khamosh raha kabhi shikve bhi kiye
Kar liya chaak gareba kabhi daaman ko siya
Dil diya dard liya
Dil diya dard liya
Dilruba maine tere pyar mein kya kya na kiya
Dil diya dard liya
Dil diya dard liya
Pyar ki jaan hai tu dil ka armaan hai tu
Kaun duniya se dare jab nigehban hai tu
Apni kashti ko sahare pe tere chhod diya