Dil Mera Tod Diya
Kasoor
Lyrics
Dil mera tod diya usne, bura kyun maanu
Dil mera tod diya usne, bura kyun maanu
Usko haq hai woh mujhe pyar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, bura kyun maanu
Pehle maloom na tha aaj yeh maine samjha
Pyar kehte hai jise woh hai dilon ka sauda
Dil ki dhadkan ko bhala kaise koi qaid kare
Yeh toh azaad hai jab chahe jahan aahein bhare
Uske raste mein khadi kyun koi deewar kare
Uske raste mein khadi kyun koi deewar kare
Usko haq hai woh mujhe pyar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, bura kyun maanu
Saare vaadon ka bharam pal mein woh tod gaya
Gham ke jis mod pe lake woh mujhe chhod gaya
Main ussi mod ki dehleez pe so jaaungi
Umra bhar uske liye ajnabi ho jaaungi
Har sitam shauk se mujhpe dildar kare
Har sitam shauk se mujhpe dildar kare
Usko haq hai woh mujhe pyar kare ya na kare
Dil mera tod diya usne, bura kyun maanu
Bura kyun maanu, bura kyun maanu
Watch Video