Lyric4U
Dil Mein Kisi Ke Pyar Ka Jalta Hua Diya

Ek Mahal Ho Sapno Ka

Watch Video
Lyrics
Dil mein kisi ke pyar ka jalta hua diya
Duniya ki aandhiyon se bhala yeh bujhega kya
Dil mein kisi ke pyar ka jalta hua diya
Duniya ki aandhiyon se bhala yeh bujhega kya
Saanson ki aanch paake bhadakta rahega yeh
Saanson ki aanch paake bhadakta rahega yeh
Seene mein dil ke saath dhadakta rahega yeh
Dhadakta rahega yeh
Woh naksh kya hua joh mitaye se mit gaya
Woh dard kya hua joh dabaye se dab gaya
Dil mein kisi ke pyar ka jalta hua diya
Duniya ki aandhiyon se bhala yeh bujhega kya
Yeh zindagi bhi kya hai amanat unhi ki hai
Yeh zindagi bhi kya hai amanat unhi ki hai
Yeh shayari bhi kya hai inayat unhi ki hai
Inayat unhi ki hai
Ab woh karam kare ke sitam unka faisla
Humne toh dil mein pyar ka shola jaga liya
Dil mein kisi ke pyar ka jalta hua diya
Duniya ki aandhiyon se bhala yeh bujhega kya
Watch Video