Lyric4U
Dil Ki Nazar Se

Anari

Watch Video
Lyrics
Dil ki nazar se nazaron ki dil se
Yeh baat kya hai, yeh raaz kya hai, koi humein bata de
Seene se uthkar honthon pe aaya
Yeh geet kaisa yeh raag kya hai, koi humein bata de
Dil ki nazar se nazaron ki dil se
Yeh baat kya hai, yeh raaz kya hai, koi humein bata de
Dil ki nazar se
Kyun bekhabar yoon khichi si chali jaa rahi main
Yeh kaunse bandhano mein bandhi jaa rahi main

Kuch kho raha hai, kuch mil raha hai
Yeh baat kya hai, yeh raaz kya hai, koi humein bata de
Dil ki nazar se
Hum kho chale chand hai ya koi jaadugar hai
Ya madbhari yeh tumhari nazar ka asar hai

Sab kuch hamara ab hai tumhara
Yeh baat kya hai, yeh raaz kya hai, koi humein bata de
Dil ki nazar se
Akash mein ho rahe hai yeh kaise ishaare
Kya dekhkar aaj hai itne khush chand taare

Kyun tum paraye dil mein samaye