Dil Ka Darwaza
Main Khiladi Tu Anari
Lyrics
Dil ka darwaza khula hai raja, raja, raja, raja
Aath roz ki tu chutti leke aaja, aaja, aaja, aaja
Dil ka darwaza khula hai raja
Aath roz ki tu chutti leke aaja
Dil ka darwaza khula hai raja
Aath roz ki tu chutti leke aaja
Naya somvar aayega saath tere
Mere haath mein honge phir haath tere
Manayenge mangal ko jungle mein mangal
Toh budh tak chalega yeh mangal ka dangal
Toh budh tak chalega yeh mangal ka dangal
Maza somras ka mujhe bhi jaga ja, aaja, aaja, aaja
Pada hai joh parda woh aake utha ja, aaja, aaja, aaja
Dil ka darwaza khula hai raja
Aath roz ki tu chutti leke aaja
Dil ka darwaza khula hai raja
Aath roz ki tu chutti leke aaja
Naye gur guruvar ke seekh lena
O hunar mujhse kuch pyar ke seekh lena
Bada shukr phir shukrvar ab na hoga
Toh poora hamara koi sapna hoga
Toh poora hamara koi sapna hoga
Toh is baar mera vrat bhi chhuda ja, aaja, aaja, aaja
Tujhe pyar kar karke kar dungi taaza, aaja, aaja, aaja
Dil ka darwaza khula hai raja
Aath roz ki tu chutti leke aaja
Dil ka darwaza khula hai raja
Aath roz ki tu chutti leke aaja
Shanivar ki raat bhaari padegi
Mohabbat ki gaadi se gaadi ladegi
Ravivar ko apna paigaam hoga
Ke chutti ke din bhi bahut kaam hoga
Ke chutti ke din bhi bahut kaam hoga
Meri saaton raatein suhagan bana ja, aaja, aaja, aaja
Manayenge khushiyan, bajayenge baja, aaja, aaja, aaja
Dil ka darwaza khula hai raja
Aath roz ki tu chutti leke aaja
Dil ka darwaza khula hai raja
Aath roz ki tu chutti leke aaja
Watch Video