Lyric4U
Dhadke Jiya

Aloo Chaat

Watch Video
Lyrics
Dekho zara kitna haseen hai phir yeh samma hai na
Jee le zara ek pal mila joh tanhaai ka hai na
Wohi hasna hasana, kuch kehke yoon sharmana
Kuch baatein yoon hi aankhon se hi kar jana
Acha lagta hai yeh chehra takte jana
Ab aa joh gaye ho toh na phir jana
Yehi dua, yoon hi sada
Tere liye dhadke jiya
Dhadke jiya
Yeh raasta gum hoga yeh dar tumhe hai na
Main aas paas hi kahin hoon itna yakeen toh hai na
Teri har aahat ka chup chupke peeche peeche aana
Mujhe tanhaai mein tera ek lamha de jana
Shayad yeh lamha bhi phir khuda ne
Tere mere milne ka socha hai bahana
Yehi dua, yoon hi sada
Tere liye dhadke jiya
Dhadke jiya
Palkein yoon jhuki toh kuch hua tha
Yeh pal jaise ruk sa gaya tha
Mere sapno mein bhi har baar tu aana
Ab aa joh gaye ho toh na phir jana
Yehi dua, yoon hi sada
Tere liye dhadke jiya
Dhadke jiya
Dhadke jiya
Dhadke jiya
Watch Video