Dekho Zara Dekho
Yeh Dillagi
Lyrics
Dekho zara dekho barkha ki jhadi
Tann ko bhigoye boondon ki ladi
Dekho zara dekho barkha ki jhadi
Tann ko bhigoye boondon ki ladi
Mausam suhana hai, kya aashiqana hai
Bajne lagi hai tik tik dil ki ghadi
Dekho zara dekho barkha ki jhadi
Tann ko bhigoye boondon ki ladi
Thodi si bechaini, thoda nasha
Aane laga hai mujhe toh maza
Ghunghru bajati hai chanchal hawa
Na jaane saawan ki neeyat hai kya
Mujhko sambhalo mushkil hai badi
Dekho zara dekho barkha ki jhadi
Mehke nazaare, suhani dagar
Main bekhabar na mujhe kuch khabar
Anjaani chahat ka ehsaas hai
Bheege labon pe nayi pyaas hai
Phisle kadam kaise rahun main khadi
Dekho zara dekho barkha ki jhadi
Mausam suhana hai, kya aashiqana hai
Bajne lagi hai tik tik dil ki ghadi
Dekho zara dekho barkha ki jhadi
Tann ko bhigoye boondon ki ladi
Dekho zara dekho barkha ki jhadi
Tann ko bhigoye boondon ki ladi
Watch Video