Dekho Maine Dekha Hai Yeh Ek Sapna
Love Story
Lyrics
Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya samma hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi ... aaja
Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya samma hai, tu kahan hai
Main aaya aaya aaya aaya ... aaja
Yahan tera mera naam likha hai
Rasta nahi yeh aam likha hai
Ho yeh hai darwaza jahan tu khadi hai
Andar aa jao sardi badi hai
Yahan se nazara dekho parvaton ka
Jhaanku main kahan se, kahan hai jharokha
Yeh yahan hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi ... aaja
Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya samma hai, tu kahan hai
Main aaya aaya aaya aaya ... aaja
Achha yeh batao kahan pe hai pani
Bahar beh raha hai jharna deewani
Bijli nahi hai yehi ek gham hai
Teri bindiya kya bijli se kam hai
Chhodho mat chhedo, bazaar jaao
Jaata hoon jaunga, pehle yahan aao
Shaam jawaan hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi ... aaja
Dekho maine dekha hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya samma hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi ... aaja
Kaisi pyari hai yeh choti si rasoi
Ho hum dono hai bas duja nahi koi
Is kamre mein hongi meethi baatein
Us kamre mein guzrengi raatein
Yeh toh bolo hogi kahan pe ladai
Maine woh jagah hi nahi banayi
Pyar yahan hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi ... aaja
Kitna haseen hai yeh ek sapna
Phoolon ke shehar mein hai ghar apna
Kya samma hai, tu kahan hai
Main aayi aayi aayi aayi ... aaja
Main aayi aayi aayi aayi ... aaja
Main aayi aayi aayi aayi ... aaja
Main aayi aayi aayi aayi ... aaja
Watch Video