Lyric4U
Deewana Dil Deewana

Kabhi Haan Kabhi Naa

Watch Video
Lyrics
Deewana dil deewana
Deewana tera deewana
Kab se kare hai tera intezar
Kab aayegi meri jaan-e-bahar
Kab se kare hai tera intezar
Kab aayegi meri jaan-e-bahar
Ke jitna hi behlaun
Yeh utna hi machalta hai dil
Deewana dil deewana
Deewana tera deewana
Andaz dikhlati sau-sau tarah ke
Jalwe lutati hui
Andaz dikhlati sau-sau tarah ke
Jalwe lutati hui
Aati hogi mausam ke saath
Gulshan khilati hui
Aa bhi ja ab jaan-e-jaan
Deewana dil deewana
Kab se kare hai tera intezar
Kab aayegi meri jaan-e-bahar
Ke jitna hi behlaun
Yeh utna hi machalta hai dil
Dil se laga karke rakha ab tak
Resham ka tera rumaal
Dil se laga karke rakha ab tak
Resham ka tera rumaal
Aage kahoon kya jaaneman
Aa dekh ja mera haal
Aa bhi ja ab jaan-e-jaan
Deewana dil deewana
Toota sitara toh maanga tha rab se
Tujhko hi jaan-e-wafa
Toota sitara toh maanga tha rab se
Tujhko hi jaan-e-wafa
Joh toot jaye taare tamaam
Maangu wohi ek dua
Aa bhi ja ab jaan-e-jaan
Deewana dil deewana
Kab se kare hai tera intezar
Kab aayegi meri jaan-e-bahar
Kab se kare hai tera intezar
Kab aayegi meri jaan-e-bahar
Ke jitna hi behlaun
Yeh utna hi machalta hai dil
Deewana dil deewana
Deewana tera deewana
Watch Video