Dard-E-Dil
Karz
Lyrics
Dard-e-dil, dard-e-jigar dil mein jagaya aapne

Pehle toh main shayar tha
Pehle toh main shayar tha aashiq banaya aapne
Dard-e-dil, dard-e-jigar dil mein jagaya aapne
Dard-e-dil, dard-e-jigar dil mein jagaya aapne
Aapki madhosh nazarein kar rahi hai shayari

Yeh ghazal meri nahi, yeh ghazal hai aapki
Maine toh bas woh likha joh kuch likhaya aapne
Dard-e-dil, dard-e-jigar dil mein jagaya aapne
Dard-e-dil, dard-e-jigar dil mein jagaya aapne
Kab kahan sab kho gayi
Jitni bhi thi parchaiyan
Uth gayi yaaron ki mehfil
Ho gayi tanhaiyan
Kab kahan sab kho gayi
Jitni bhi thi parchaiyan
Uth gayi yaaron ki mehfil
Ho gayi tanhaiyan
Kya kiya shayad koi parda giraya aapne
Dard-e-dil, dard-e-jigar dil mein jagaya aapne
Dard-e-dil, dard-e-jigar dil mein jagaya aapne
Aur thodi der mein bas hum juda ho jayenge

Aapko dhoondunga kaise raste kho jayenge
Naam tak bhi toh nahi apna bataya aapne
Dard-e-dil, dard-e-jigar dil mein jagaya aapne
Pehle toh main shayar tha aashiq banaya aapne
Dard-e-dil, dard-e-jigar dil mein jagaya aapne
La la la ... la la la
La la la ... la la la
Watch Video