Lyric4U
Chupke Se

Saathiya

Watch Video
Lyrics
Doston se jhoothi moothi doosron ka naam leke
Teri meri baatein karna
Yaara, raat se din karna
Lambi judaai teri bada mushkil hai
Aahon se dil bharna
Yaara, raat se din karna
Kab yeh poori hogi
Door yeh doori hogi
Kab yeh poori hogi
Door yeh doori hogi
Roz safar karna
Yaara, raat se din karna
Chupke se, chupke se
Raat ki chaadar tale
Chaand ki bhi aahat na ho
Baadal ke peeche chale
Jale katra katra
Gale katra katra
Raat bhi na hile aadhi aadhi
Raat bhi na hile aadhi aadhi
Chupke se lag ja gale
Raat ki chaadar tale
Farvari ki sardiyon ki dhoop mein
Moondi moondi akhiyon se dekhna
Haath ki aad se
Nimmi nimmi thand aur aag mein
Haule haule maarwa ke raag mein
Meer ki baat ho
Din bhi na doobe
Raat na aaye
Shaam kabhi na dhale
Shaam dhale toh
Subah na aayi
Raat hi raat chale
Chupke se, chupke se
Raat ki chaadar tale
Chaand ki bhi aahat na ho
Baadal ke peeche chale
Doston se jhoothi moothi doosron ka naam leke
Teri meri baatein karna
Yaara, raat se din karna
Lambi judaai teri bada mushkil hai
Aahon se dil bharna
Yaara, raat se din karna
Kab yeh poori hogi
Door yeh doori hogi
Kab yeh poori hogi
Door yeh doori hogi
Roz safar karna
Yaara, raat se din karna
Tujh bina pagli yeh purwai
Tujh bina pagli yeh purwai
Aake meri chunri mein bhar gayi
Tu kabhi aaise hi
Gale lag jaise yeh purwai
Aa gale lag jaise yeh purwai
Saathiya sun tu
Kal joh mujhko neend na aaye
Paas bula lena
Godh mein apni
Sar rakh lena
Lori suna dena
Chupke se lag ja gale
Raat ki chaadar tale
Chaand ki bhi aahat na ho
Baadal ke peeche chale
Jale katra katra
Gale katra katra
Raat bhi na hile aadhi aadhi
Raat bhi na hile aadhi aadhi
Chupke se lag ja gale
Raat ki chaadar tale
Chaand ki bhi aahat na ho
Baadal ke peeche chale
Watch Video