Lyric4U
Chup Gaye Saare Nazare

Do Raaste

Watch Video
Lyrics
Chup gaye saare nazare, oye kya baat ho gayi
Chup gaye saare nazare, oye kya baat ho gayi
Tune kajal lagaya din mein raat ho gayi
Tune kajal lagaya din mein raat ho gayi
Mil gaye naina se naina, oye kya baat ho gayi
Mil gaye naina se naina, oye kya baat ho gayi
Dil ne dil ko pukara mulaqaat ho gayi
Dil ne dil ko pukara mulaqaat ho gayi
Kal nahin aana, mujhe na bulana
Ke maarega taana zamana
Kal nahin aana, mujhe na bulana
Ke maarega taana zamana
Tere hothon pe raat yeh bahana tha
Gori tujhko toh aaj nahi aana tha
Tu chali aayi duhayi, oye kya baat ho gayi
Tu chali aayi duhayi, oye kya baat ho gayi
Maine chhoda zamana tere saath ho gayi
O maine chhoda zamana tere saath ho gayi
O tune kajal lagaya din mein raat ho gayi
Ambua ki daali pe gaaye matwali
Koyaliya kaali niraali
Ambua ki daali pe gaaye matwali
Koyaliya kaali niraali
Saawan aane ka kuch matlab hoga
Baadal chhane ka koi sabab hoga
Rimjhim chhaye ghatayein, oye kya baat ho gayi
Rimjhim chhaye ghatayein, oye kya baat ho gayi
Teri chunari lehrayi barsaat ho gayi
Teri chunari lehrayi barsaat ho gayi
Dil ne dil ko pukara mulaqaat ho gayi
Chhod na baiyan padun tere paiyan
Taaron ki chhaiyan mein saiyan
Chhod na baiyan padun tere paiyan
Taaron ki chhaiyan mein saiyan
Ek woh din tha milati na thi tu ankhiyan
Ek yeh din hai tu jaage saari saari raatiyan
Ban gayi gori chakori, oye kya baat ho gayi
Ban gayi gori chakori, oye kya baat ho gayi
Jiska dar tha bedardi wohi baat ho gayi
O jiska dar tha bedardi wohi baat ho gayi
Chup gaye saare nazare oye kya baat ho gayi
Dil ne dil ko pukara mulaqaat ho gayi
Dil ne dil ko pukara mulaqaat ho gayi
Watch Video