Chhod Babul Ka Ghar
Babul
Lyrics
Chhod babul ka ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada, o aaj jana pada
Chhod babul ka ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada
Yaad maike ki dil se bhulaye chali, haan bhulaye chali
Preet sajan ki mann mein basaye chali, haan basaye chali
Yaad karke yeh ghar royi aankhen magar muskurana pada, o aaj jana pada
Chhod babul ka ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada
Sang sakhiyon ke bachpan bitati thi main, haan bitati thi main
Byah gudiyon ka hans hans rachati thi main, haan rachati thi main
Sabse munh modhkar kya bataun kidhar dil lagana pada, o aaj jana pada
Chhod babul ka ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada
Pehan ulfat ka gehna dulhan main bani
Dola aaya piya ka sakhi main chali
Yeh tha jhootha nagar is liye chhodkar mohe jana pada, o aaj jana pada
Chhod babul ka ghar mohe pi ke nagar aaj jana pada
Watch Video