Lyric4U
Chand Sitaare

Kaho Naa Pyaar Hai

Watch Video
Lyrics
Chand sitaare phool aur khushboo
Chand sitaare phool aur khushboo
Yeh toh saare purane hai
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hai
Arre kaali ghatayein, barkha, sawan ho
Kaali ghatayein, barkha, sawan
Yeh toh sab afsane hai
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hai
Andaz hai uske naye naye
Hai naya naya deewanapan
Andaz hai uske naye naye
Hai naya naya deewanapan
Pehna ke taj jawani ka
Haske laut gaya bachpan
Geet ghazal sab kal ki baatein ho
Geet ghazal sab kal ki baatein
Uske naye taraane hai
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hai
Hai roop mein itna saadapan
Toh kitna sundar hoga mann
Hai roop mein itna saadapan
Toh kitna sundar hoga mann
Bin gehne aur shringar bina
Woh toh lagti hai dulhan
Kajal, bindiya, kangan, jhumke ho
Arre kajal, bindiya, kangan, jhumke
Yeh toh guzre zamane hai
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hai
Chand sitaare phool aur khushboo
Yeh toh saare purane hai
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hai
Arre kaali ghatayein, barkha, sawan
Yeh toh sab afsane hai
Taaza taaza kali khili hai
Hum uske deewane hai
Watch Video