Chana Jor Garam
Kranti (1981)
Lyrics
Tum tum ta ra ra tum tum taram
Tum tum ta ra ra tum tum taram
Tum tum ta ra ra tum tum taram
Tum tum ta ra ra tum tum taram
Tum tum taram taram
Tum tum taram taram
Duniya ke hai lakh dharam par apna ek karam, chana jor garam
Chana jor garam babu main layi mazedar chana jor garam
Chana jor garam babu main laya mazedar chana jor garam
Mera chana bana hai aala
Jisme dala garam masala
Isko khayega dilwala, chana jor garam
Mera chana kha gaya gora
Mera chana kha gaya gora
Khake ban gaya tagda ghoda
Maine pakad ke usse maroda
Maarke tangdi usko toda, chana jor garam
Chana jor garam babu main laya mazedar chana jor garam
Mere chane ki aankh sharabi
Sharabi chane ki aankh sharabi
Ho iske dekho gaal gulabi
Gulabi dekho gaal gulabi
Ho iska koi nahi jawabi
Iska koi nahi jawabi
Jaise koi kudi Punjabi
Jaise koi kudi Punjabi
Nache chhanan chhanan
Nache chhanan chhanan
Kothe chadh ke tainu pukaran sun le mere balam, chana jor garam
Chana jor garam babu main layi mazedar chana jor garam
Mera chana kha gaye gore
Gore mera chana kha gaye gore
O gore joh ginti mein hai thode
O phir bhi maare humko kode
Phir bhi maare humko kode
Tum tum taram taram
Tum tum taram taram
Lakhon kode toote phir bhi toota na dum kham, chana jor garam
Chana jor garam babu main laya mazedar chana jor garam
Chana jor garam babu main laya mazedar chana jor garam
Mera chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Mera chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Yeh dushman hai khudgarzi ka
Khudgarzi ka khudgarzi ka
Sar kafan bandh ke nikla hai
Deewana hai yeh pagla hai
Mera chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Apno se naata jodega
Gairo ke sar ko phodega
Apna yeh vachan nibhayega
Maati ka karz chukayega
Chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Mit jaane ko mit jayega
Aazaad watan kar jayega
Na toh chori hai, na toh daaka hai
Bas yeh toh ek dhamaka hai
Dhamake mein aawaaz bhi hai
Ik saaz bhi hai, ik saaz bhi hai
Samjho toh baat yeh saaf bhi hai
Aur na samjho toh raaz bhi hai
Apni dharti apna hai gagan
Yeh mera hai mera hai watan
Apni dharti apna hai gagan
Yeh mera hai mera hai watan
Is par joh aankh uthayega
Zinda dafnaya jayega
Mera chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Yeh dushman hai khudgarzi ka
Khudgarzi ka khudgarzi ka
Mera chana hai apni marzi ka
Marzi ka bhai marzi ka
Yeh dushman hai khudgarzi ka
Khudgarzi ka khudgarzi ka
Watch Video