Chale Aana
De De Pyaar De
Lyrics
Juda hum ho gaye maana magar yeh jaan lo jaana
Juda hum ho gaye maana magar yeh jaan lo jaana
Kabhi main yaad aaun toh chale aana, chale aana
Tumhe main bhool jaunga yeh baatein dil mein na lana
Kabhi main yaad aaun toh chale aana, chale aana
Tha kaun mera ek tu hi tha
Saanson se zyada joh zaroori tha
Tere liye main kuch nahi lekin
Mere liye tu mera sab kuch tha
Nahi jaana bhula karke yeh baatein tum hi kehte the
Rahi khushiyan nahi meri ke tum bhi waqt jaise the
Tumhara tha rahega bhi karoon kya dil hai deewana
Kabhi main yaad aaun toh chale aana, chale aana
Maine tumhari baat maani hai
Maine manaya dil ko hai kaise
Abse raho tum khush jahan bhi ho
Mera tumhara tha bhi kya waise
Bhale doori rahe jitni nigahon se nigahon ki
Magar khwaabo ki duniya mein milunga tumse rozana
Yahin tak tha safar apna tumhe hai lautkar jaana
Kabhi main yaad aaun toh chale aana, chale aana
Watch Video