Chaha Hai Tujhko
Mann
Lyrics
Chaha hai tujhko chahoonga har dam
Marke bhi dil se yeh pyar na hoga kam
Teri yaad joh aati hai
Mere aansoon behte hai
Apna toh milan hoga
Pal pal yeh kehte hai
Kya yeh zindagani hai
Bas teri kahani hai
Bas teri kahani hai
Yeh joh zindagani hai
Chaha hai tujhko chahoonga har dam
Marke bhi dil se yeh pyar na hoga kam
Teri woh baatein, woh chahat ki rasmein
Jhuthe the vaade kya jhuthi thi kasmein
Jaane tamanna kya yeh sach hai
Bas itna keh de
Toot jaaye na lamha aitbaar ka
De koi sila mere intezar ka
Chaha hai tujhko chahoongi har dam
Marke bhi dil se yeh pyar na hoga kam
Teri hoon teri joh chahe kasam le le
Mujhko humrahi tu apne gham de de
Sari umar hai mujhko
Dard judai ka sehna
Raste mein khoyi hai manzilein meri
Mere saath jayengi mushkilein meri
Chaha hai tujhko chahoonga har dam
Marke bhi dil se yeh pyar na hoga kam
Tu saamne hai mere
Phir kyun yeh doori hai
Tujhe kaise bataon main
Haai kya majboori hai
Yeh bhi koi jeena hai
Sirf aansoon peena hai
Sirf aansoon peena hai
Yeh bhi koi jeena hai
Watch Video