Lyric4U
Buddhu Sa Mann

Kapoor And Sons

Watch Video
Lyrics
Dabi dabi si hansi honthon pe phansi hai
Gudgudi kar rahi hawa
O halla macha rahi hai pagal si khwaishein
Khushiyon ki mili hai wajah
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh buddhu sa mann hai
Karne de khwaabon ko badmashiyan
Chalne de nazron ki manmaaniyan
Dhoondhe chalo kuch thikane naye
Hone de pagli-pagli si nadaaniyan
Hosh mein rehna hai kyun rehne se hoga kya
Behoshiyon mein hai maza
O bachkaani harqatein joh hoti hai hone de
Khushiyon ki mili hai wajah
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh buddhu sa mann hai
Mausam ne bhi ki hai kuch koshishein
Hone lagi dekho yeh baarishien
Sar pe chadha hai yeh kaisa asar
Daude raftaar mein dil ki sab dhadkanein
Dhun koi chal rahi hai kaano mein dheeme se
Roshan hai zyada yeh subah
O hulchul joh ho rahi hai seene mein hone de
Khushiyon ki mili hai wajah
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh buddhu sa mann hai
Kuch hai junoon sa
Kuch pagalpan hai
Sau baatein karta yeh buddhu sa mann hai
Buddhu sa mann hai
Buddhu sa mann hai
Watch Video