Lyric4U
Bhari Duniya Mein Aakhir Dil

Do Badan

Watch Video
Lyrics
Bhari duniya mein aakhir dil ko samjhane kahan jaaye

Mohabbat ho gayi jinko woh deewane kahan jaaye

Bhari duniya
Lage hai shamma par pehre zamane ki nigahon ke

Zamane ki nigahon ke
Jinhe jalne ki hasrat hai
Jinhe jalne ki hasrat hai woh parwane kahan jaaye
Mohabbat ho gayi jinko woh deewane kahan jaaye
Bhari duniya mein aakhir dil ko samjhane kahan jaaye
Bhari duniya
Sunana bhi jinhe mushkil, chupana bhi jinhe mushkil

Chupana bhi jinhe mushkil
Zara tu hi bata ae dil
Zara tu hi bata ae dil woh afsane kahan jaaye
Mohabbat ho gayi jinko woh deewane kahan jaaye
Bhari duniya mein aakhir dil ko samjhane kahan jaaye
Bhari duniya
Nazar mein uljhane dil mein hai aalam beqaraari ka

Hai aalam beqaraari ka
Samajh mein kuch nahi aata
Samajh mein kuch nahi aata sukoon paane kahan jaaye