Bharat Humko Jaan Se Pyara Hai
Roja
Lyrics
Bharat humko jaan se pyara hai
Sabse nyara gulistan hamara hai
Bharat humko jaan se pyara hai
Sabse nyara gulistan hamara hai
Sadiyon se Bharat bhoomi duniya ki shaan hai
Bharat maa ki raksha mein jeevan qurbaan hai
Bharat humko jaan se pyara hai
Sabse nyara gulistan hamara hai
Ujre nahi apna chaman
Toote nahi apna watan
Gumraah na karde koi
Barbaad na karde koi
Mandir yahan, masjid yahan
Hindu yahan, Muslim yahan
Milke rahe hum pyar se ... jaago
Hindustani naam hamara hai
Sabse pyara desh hamara hai
Hindustani naam hamara hai
Sabse pyara desh hamara hai
Janmbhoomi hai hamari shaan se kahenge hum
Sabhi toh bhai bhai pyar se rahenge hum
Hindustani naam hamara hai
Sabse pyara desh hamara hai
Assam se Gujarat tak
Bengal se Maharashtra tak
Jaati kayi dhun ek hai
Bhasha kayi sur ek hai
Kashmir se Madras tak
Keh do sabhi hum ek hai
Awaaz do hum ek hai ... jaago
Watch Video