Lyric4U
Bhanware Ne Khilaya Phool

Prem Rog

Watch Video
Lyrics
Bhanware ne khilaya phool
Phool ko le gaya raj kunwar
Bhanware ne khilaya phool
Phool ko le gaya raj kunwar
Bhanware tu kehna na bhool
Phool tujhe lag jaye meri umar
Bhanware ne khilaya phool
Phool ko le gaya raj kunwar
Bhanware ne khilaya phool
Phool ko le gaya raj kunwar
Bhanware ne khilaya phool
Phool ko le gaya raj kunwar
Bhanware tu kehna na bhool
Phool tera ho gaya idhar udhar
Bhanware ne khilaya phool
Phool ko le gaya raj kunwar
Woh din ab na rahe
Kya kya vipada padi phool par
Kaise phool kahe
Woh din ab na rahe
Honi thi ya ho anhoni
Jaane isse vidhata
Chhute sab shringar gira galhar toota har naata
Shesh phool mil gaya dhool mein
Kya kya dukhan sahe
Woh din ab na rahe
Bhanware tu kehna na bhool
Phool daali se gaya utar
Bhanware ne khilaya phool
Phool ko le gaya raj kunwar
Sukh dukh aaye jaaye, jaaye
Sukh dukh aaye jaaye
Sukh ki bhookh na dukh ki chinta
Preet jise apnaye
Sukh dukh aaye jaaye
Meera ne peeya vish ka pyala
Vish ko bhi amrit kar daala
Prem ka dhai akshar padhkar mast kabeera gaaye
Sukh dukh aaye jaaye
Bhanware tu kehna na bhool
Phool guzre din gaye guzar
Bhanware ne khilaya phool
Phool ko le gaya raj kunwar
Khele phule phoolwari mein
Bhanwra gun gun gun gun gun gaaye
Kaahe sovat nindiya jagaye
Kaahe sovat nindiya jagaye
Lakhon mein kis ek phool ne lakhon phool khilaye
Mand mand muskaye
Kaahe sovat nindiya jagaye
Bhanware tu kehna na bhool
Phool tera madhur nahi madhukar
Bhanware ne khilaya phool
Phool ko le gaya raj kunwar
Bhanware tu kehna na bhool
Phool mera sundar saral sudhar
Bhanware ne khilaya phool
Phool ko le gaya raj kunwar
Phool mera sundar saral sudhar
Phool ko le gaya raj kunwar
Phool mera sundar saral sudhar
Phool ko le gaya raj kunwar
Phool mera sundar saral sudhar
Watch Video