Lyric4U
Bewakoofiyaan

Bewakoofiyaan

Watch Video
Lyrics
Dil ko samjha bujhake
Khud ko ullu banake
Ullu seedha karta rehta hai
Joh woh toota nahi hai
Tujh se rootha nahi hai
Phir kyun aise dukhta rehta hai
Nakli dilase, farzi khulase
Galati pe parde yeh daale
Dekar yeh jhanse khud ko hi phanse
Nuksaan mein dhoonde munafe
Bewakoofiyaan bematlab betuki si
Bekaar si, buddhu si, bewajah bewakoofiyaan
Bewakoofiyaan bematlab betuki si
Bekaar si, buddhu si, bewajah bewakoofiyaan
Paara utra nahi hai
Bilkul sudhra nahi hai
Mooh ke bal yeh girta rehta hai
Ab bhi bhigda nahi hai
Sab kuch bikhra nahi hai
Mooh latka kyun phirta rehta hai
Kitne dino se auron ko kose
Kaisi yeh zid pe ad gaya
Koi toh toke, kam se kam roke
Kab tak khudko dega yeh dhoke
Bewakoofiyaan bematlab betuki si
Bekaar si, buddhu si, bewajah bewakoofiyaan
Bewakoofiyaan bematlab betuki si
Bekaar si, buddhu si, bewajah bewakoofiyaan
Ae nadaan re, asaan hai re in hisso ko toh jodna
Kyun pareshan hai, namushkil hai maafi ke bol bolna
Aisi jhooti moothi kyun tadi hai maare
Kya milega tu bata
Ab kya hisaab khole
Tu kya aano pe tole
Kya khoya hai kya haara
Bewakoofiyaan bematlab betuki si
Bekaar si, buddhu si, bewajah bewakoofiyaan
Bewakoofiyaan bematlab betuki si
Bekaar si, buddhu si, bewajah bewakoofiyaan
Watch Video