Lyric4U
Barson Purana Yeh Yaarana

Hera Pheri (1976)

Watch Video
Lyrics
Dushman na kare dost ne woh kaam kar diya
Ki dosti ke naam ko badnaam kar diya
Barson purana yeh yaarana
Ik pal mein kyun toota
Ik pal mein kyun toota
Yaar mere, yaar mere
Yaar mere tu aise rootha
Jaise mera rab rootha
Jaise mera rab rootha
O barson purana yeh yaarana
Ik pal mein kyun toota
Ik pal mein kyun toota
Tera jahan bhi gira pasina, maine khoon bahaya
Tera jahan bhi gira pasina, maine khoon bahaya
Tera lahu bana kyun pani, yeh kaisa din aaya
Woh teri dosti
Woh teri dosti
Thi meri zindagi
Banke pujari pyar mein tune yaar ka mandir loota
Jaise mera rab rootha
O barson purana yeh yaarana
Ik pal mein kyun toota
Ik pal mein kyun toota
Leharon par joh mitte lakeerein, tooti kasme saari
Leharon par joh mitte lakeerein, tooti kasme saari
Ret ki ik deewar bhi mere yaar ki jhooti yaari
Yeh sitam kya hua
Yeh sitam kya hua
Kya lagi baddua
Jism se jaise jaan juda ho saath tera yun chhuta
Jaise mera rab rootha
O barson purana yeh yaarana
Ik pal mein kyun toota
Ik pal mein kyun toota
Yaar mere tu aise rootha
Jaise mera rab rootha
Jaise mera rab rootha
Watch Video