Bade Miya Deewane
Shagird
Lyrics
Bade miya deewane aise na bano
Haseena kya chahe humse suno
O bade miya deewane aise na bano
Haseena kya chahe ... yehi toh malum nahi hai ... humse suno
Sabse pehle suno miya
Karke warjish bano jawaan
Sabse pehle suno miya
Karke warjish bano jawaan
Chehra polish kiya karo
Thodi maalish kiya karo
Istyle se uthe kadam
Seena zyada toh pet kam
Aye kibla ujle baalo ko rang daalo ban jaao gulfaam
Bade miya deewane aise na bano
Haseena kya chahe humse suno
Seekho kartab naye-naye
Fashion ke dhab naye-naye
Seekho kartab naye-naye
Fashion ke dhab naye-naye
Dheela dhaala libaas kyun
Resham pehno kapas kyun
Phan yeh jaadugari ka hai
Armaan tumko pari ka hai
Toh kibla maaro mantar teddy bankar niklo waqt-e-shaam
Bade miya deewane aise na bano
Haseena kya chahe humse suno
Tanhaai mein agar kahin
Aa jaaye woh nazar kahin
Tanhaai mein agar kahin
Aa jaaye woh nazar kahin
Kahiye haathon mein haath daal
Aye gul chehra pari jamaal
Muddat se dil udaas hai
Tere honthon ki pyaas hai
Aye dilbar mere lab par kab chhalkega tere lab ka jaam
Bade miya deewane aise na bano
Haseena kya chahe humse suno
O bade miya deewane aise na bano
Haseena kya chahe ... yehi toh malum nahi hai ... humse suno
Is tanhaai mein ae haseen
Itni doori bhali nahi
Aaya mausam bahaar ka
Rakh le dil beqaraar ka
Mere haathon tho tho mein haath daal
Aye gul chehra pari jamaal
Muddat se dil udaas da-da udaas hai
Tere honthon ki pyaas hai
Aye dilbar mere lab par kab chhalkega tere lab ka jaa jaa jaa jaam
Watch Video