Lyric4U
Badalon Se

Satya

Watch Video
Lyrics
Badalon se kaat kaat ke
Kagazon pe naam jodna
Badalon se kaat kaat ke
Kagazon pe naam jodna
Yeh mujhe kya ho gaya
Arre yeh mujhe kya ho gaya
Doriyon se baandh baandh ke
Raat bhar chaand todna
Yeh mujhe kya ho gaya
Yeh mujhe kya ho gaya
Ek baar tumko jab baraste paniyon ke paar dekha tha
Yun laga tha jaise gungunata ek aabshaar dekha tha
Ek baar tumko jab baraste paniyon ke paar dekha tha
Yun laga tha jaise gungunata ek aabshaar dekha tha
Tab se meri neend mein barasti rehti ho
Bolti bahut ho aur hansti rehti ho
Joh tujhe jaanta na ho
Usse tera naam poochna
Yeh mujhe kya ho gaya
Yeh mujhe kya ho gaya
Yeh mujhe kya ho gaya
Dekho yun khule badan tum
Dekho yun khule badan gulaabi saahilon pe aaya na karo tum
Namak bhare samundaron mein is tarah nahaya na karo
Saara din chaandni si chayi rehti hai
Aur gulaabi dhoop baukhlayi rehti hai
Jamunon ki narm daal pe
Naakhunon se naam khodna
Yeh mujhe kya ho gaya
Yeh mujhe kya ho gaya
Badalon se kaat kaat ke
Kagazon pe naam jodna
Doriyon se baandh baandh ke
Raat bhar chaand todna
Yeh mujhe kya ho gaya
Watch Video