Aye Dil Dil Ki Duniya
Yaadein
Lyrics
Aye dil dil ki duniya mein
Aaisa haal bhi hota hai
Baahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Aye dil dil ki duniya mein
Aaisa haal bhi hota hai
Baahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Aye dil koi pehchana nahi
Kisi ne yeh maana nahi
Kisi ne yeh jaana nahi
Kisi ko batana nahi
Dard chupa hai kahan
Aye dil dil ki duniya mein
Aaisa haal bhi hota hai
Baahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Tune mujhse wafaa nahi ki
Tujhko kaise wafaa milegi
Tune mujhko dard diya hai
Tujhko kaise dawa milegi
Seene mein uthte hai armaan aaise
Dariya mein aate hai toofan jaise
Kabhi kabhi khud hi maajhi
Kashti ko dubota hai
Aye dil dil ki duniya mein
Aaisa haal bhi hota hai
Baahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Kaante chunkar tera daaman
Phoolon se main bhar jaaonga
Isse badi sazaa kya hogi
Maaf tujhe main kar jaaonga
Hogi kisi ko pehchan kaise
Pyar mein hote hai qurbaan kaise
Humko yeh maaloom na tha
Pyar bhi ek samjhauta hai
Aye dil dil ki duniya mein
Aaisa haal bhi hota hai
Baahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Aye dil koi pehchana nahi
Kisi ne yeh maana nahi
Kisi ne yeh jaana nahi
Kisi ko batana nahi
Dard chupa hai kahan
Aye dil dil ki duniya mein
Aaisa haal bhi hota hai
Baahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Aye dil dil ki duniya mein
Aaisa haal bhi hota hai
Baahar koi hasta hai
Andar koi rota hai
Watch Video