Lyric4U
Are Yaar Meri Tum Bhi Ho Gazab

Teen Devian

Watch Video
Lyrics
Are yaar meri tum bhi ho gazab, ghunghat toh zara odho
Aha maano kaha ab tum ho jawaan, meri jaan ladakpan chhodo
Jab meri chunariya malmal ki
Phir kyun na phirun jhalki jhalki

Koi joh mujhko haath lagayega haath na uske aaungi
Main tere mann ki laal pari hoon re, mann mein tere udd jaungi

Tum pari toh zaroor ho
Par badi mashoor ho
Jab meri chunariya malmal ki
Phir kyun na phirun jhalki jhalki
Are yaar meri tum bhi ho gazab, ghunghat toh zara odho
Aha maano kaha ab tum ho jawaan, meri jaan ladakpan chhodo
Dekh ke tarse lakh yeh bhanware aur inhe tarsaungi
Teri gali ki ek kali hoon, tere gale lag jaungi

Tum kali toh zaroor ho
Par badi mashoor ho
Jab meri chunariya malmal ki
Phir kyun na phirun jhalki jhalki
Are yaar meri tum bhi ho gazab, ghunghat toh zara odho
Aha maano kaha ab tum ho jawaan, meri jaan ladakpan chhodo
Daalke ghunghta roop ko apne aur nahi main chupaungi
Sundari banke teri balamwa aaj toh main lehraungi

Sundari toh zaroor ho