Apun Jaise Tapori
Munna Bhai MBBS
Lyrics
Apun jaise tapori ko kya malum
Saala pyar kis chidiya ka naam hai
Lukhagiri karke apna timepass hota hai
Beedi, paan, chai milta hai bas apun khush
Ye pyar ka lafda locha kaiko kaiko, arre kaiko re
Phir bole toh ek din apun ke mohalle mein Hema aayi
Saala apun ka khopdi chakkar kha gaya
Truck ke saath dil saala takkar kha gaya
Chaila kya soorat thi woh kya kehte hai
Haan zulfein kya zulfein thi
Chalti thi ek dum hawa ke mafik
Aankhen aisi ki ruka de traffic
Apun socha apun ka beda paar ho gaya
Bole toh baap, saala apun ko bhi pyar ho gaya
O o o ... o o o
O o o ... o o o
Din bhar apun uski khidi ke neechu
Koi lafda nahi kuch nahi
Teen din na Aziz se rada, na Usman se panga
Bas chup chap
Pehli baar ladki dekhi aur seeti nahi maari
Aankhen mil bhi jaati toh
Toh kya, aankh nahi maari
Apun ka bidu log saala dar gaya
Bola kya be Munna saala tu bhi sudhar gaya
O o o ... o o o
O o o ... o o o
Phir ek din usko dekh ke Kallan bola
Aye Munna bhai woh dekh kya qayamat jareli hai baap
Apun ka khopdi sarka
Kallan ko pakda aur bola idhar aa shaane
Tere ko qayamat dikhata hoon
Saale ko itna dhoya, itna dhoya
Abhi tak thopda wakda hai
Aur aaj tak apun ke saath uska chatees ka aankda hai
Samjha, samjha kya
Phir Hema ka kya hua
Phir ek din woh apun ko dekh ke hasi
Apun bola baap hasi toh fasi
Lagta hai woh bhi apun pe fida ho gayi
Do din ke baad uski shaadi ho gayi
Apun ke saamne woh ghar se bida ho gayi
Uski doli uthi, apun, apun udhar-ich khada tha
Lekin woh apun ko nahi dekhi
Woh raat apun do baje tak peeya
Woh raat apun do baje tak peeya
Saala ek ... ek sapna dekha tha
Lekin maa kasam ek aansoon nahi roya
Kaiko royega, kaiko royega
Saala apun-ich yeda tha na
Agle din woh-ich pehle ke mafik life chalu
Woh-ich gande glass mein chai
Woh-ich paan beedi
Aziz ko itna maara, itna maara
Log samjhe woh marega
Bhoolne ka hai, bhoolne ka hai par kya karega
Sapna toota hai toh dil kabhi jalta hai
Haan thoda dard hua par chalta hai
Sapna toota hai toh dil kabhi jalta hai
Haan thoda dard hua par chalta hai
Phir ... phir kya hua
Phir ... phir kya
Agle din apne mohalle mein Aishwarya aayi
O o o ... o o o
O o o ... o o o
Apna khopdi phir chakkar kha gaya
Dil truck ke saath phir takkar kha gaya
Kya baat!
Chaila kya soorat thi
Aankhen aisi ke aise
Aye Munna bhai, tere dil ka traffic phir se ruka kya
Watch Video